Shagun aur Apshagun par Vishwaas Karne wale Is duniyaa men bahut saare hain. kucha log to itnaa maante hain ki kayee baar vo khud apna nuksaan kar baithte hain. Isliye kaha jata hai ki vishwaas aur andhvishwaas men bahut kam fark hota hai. Is fark ko samajhna bahut zaruri hota hai.
vishwaas aur andhvishwaas theek usee prkaar hote hain jis parkaar andhkaar aur ujaalaa.jab andhvishwaas hamare man men ghar kar jaataa hai to janm lete hain shagun aur Apshagun.
Namaskaar dosto! Aaj jis kahanee ko lekar upasthit hun vo to aap samajh hee chuke hee ho.Yah kahanee hai Raam aur Shyam kee.
Himachal kee haseen vaadiyon kee shuruat men hi padtaa hai Una. Una men Do dost rahte the. Ek kaa naam tha Ram aur Doosre kaa Shyam.
Interview ke liye jana aur Apshagun
Dono interview ke liye jaa rahe the. Achaanak ek billi shyam kaa raastaa kaat jaatee hai. Shyam niraashaa bhare swar men chillaataa hai.
Shyam:- oh shitt!!! Ye to bahut bda apshagun ho gya.
Ram:- kyaa huaa?
Shyaam:- yaar billi rastaa kaat gayi.
Ram:- achaa! To kya ho gya?
Shyaam:- yaar ab kuch bhee theek nahin hogaa.
Ram:- kyun.
Shyam:- kyunki billi raastaa kaat gayee. Ab interview achaa nahin hoga.
Ram:- kyun bhai, interview dene tum jaa rhe ho ya billi?
Shyaam:- are interview to men hee dungaa. Lekin …..
Ram:- lekin kya?
Apshagun kaa khyaal man men ghar kar jana
Shyam:- dekh lena interview theek nahin hogaa. Billi ne raastaa kaataa hai. Yah bahut bda apshagun hotaa hai.
Ram:- are bhai kon se zamane men jee rhe ho? Interview ache se do. Sab theek hoga.
aur fir paise bhee to kamaane hain ham dono ko.
Shyam:- yaar tum nhin samjhoge.
Ram samajh chukaa thaa ki shyam ghabra chukaa hai. Jab tak yah normal nhin hota tab tak interview kaise dega ache se.
Agar shyam interview hee ache se nhin dega to kahan se nokari milegi.
Shyaam baise dil ka bahut achaa thaa. Lekin in bhrantiyon men pad gya tha.
Khair! Raam usko raste men jokes, poetry aur shayari sunata hai. Iskaa nateeza yah hotaa hai ki shyaam normal ho jaataa hai.
Fir dono ek dukaan par pahunchate hain.
Ram:- chal shyaam! Chaye peete hain.
Shyam:- nhin yaar der ho jayegee.
Ram:- nhin yar pahunch jayenge hum aaraam se. Aaja chaye peete hain.
Shyam:- chal theek hai. Pee lete hain fir. Ab hatnaa to hai nhin tumne aise.
Raam:- hahah cha aaja fir.
Dono chaye kee dukaan men jate hain. Ram dukaandaar ko do cup chaye bnaane ke liye boltaa hai.
Dono bahan chaye (chai) peete hain. Ram Chaye peene ke baad paise chukata hai. Fir dono interview dene ke liye nikal padte hain.
Office men
Vo dono interview wale sthaan par pahunchte hain. Office men pahunchakr bo lage sofe par baith gaye. Vo dono apnee turn ka intzaar kar rahe the. Lagbhag aadhe ghante ke baat Ram kee turn aa jaatee hai. Vo apna interview deta hai. Aur bahar aa jata hai.
Shyam:- Ram ! Kaise hua tumhara interview?
Ram:- Bahut acha hua bhai. Aur Interview lene wala bhee bahut achaa insaan tha.
Shyam:- acha ! Chal theek h. Mujhe to milegee nhin Nokari.
Ram:- kyun?
Shyam:- kyunki billi raasta kaat gayi.
Ram:- are yaar? Abhi tak tu bahan par hee atkaa padaa hai.
Shyam:- to kya karun aur.
Ram:- Tu kuch mat kar. Bas billi aur apshagun ko apne dimaag se nikaalkar interview de apna. Sab theek ho jayega.
Shyam:- lekin kaise?
Ram:- tujhe apne liye nokari chahiye ya billi.
Shyam:- yakeenan nokari.
Ram:- to bas fir noakri 0ar dhyan de. Billi par nahin.
Shyam kaa interview
Itne men shyam kee turn aa jaatee hai. Air shyaam interview dene jata hai. Darwaje par jakar :-
Shyam:- may i come in sir?
Interviewer:- yes come in please.
Ander jakar shyam uske saamne khadaa ho jata hai aur
Shyam:- Good morning sir.
Interviewer:- very good morning. Please have a seat.
Shyam:- thanks sir.
Yeh bolkar shyam kursee par baith jata hai aur apnee file interviewer ko deta hai.
Interviewer:- kya hua shyam kuch pareshan se lag rahe ho.
Shyam:- nhin sir kuch nhin main theek hun.
Interviewer:- lo paani piyo.
Yah kehkar interviewer paanee kaa gilaas shyam kee taraf badhaataa hai.
Shyam:- thanks sir.
Pani peekar shyam khalee gilaas rakh deta hai.
Interviewer:- achaa aur btao ghr men kon kon hai?
Shyam:- sir mere mata pita aur meri teen bahne.
Interviewer:- shadi ho gyi?
Shyam :- nahin sir. Abhi do behno kee hui hai.
Interviewer:- aur teesree?
Shyam:- jee vo abhee padh rahee hai.
Interviewer:- achaa! Matlab tumharee baaree hai.
Shyam:- jee sir. Lekin abhi nhin karunga.
Interviewer:- kyun bhai.
Shyam:- sir pehle apne pairon par khadaa hona hai. Sister kee shadi karnee hai aur fir apna sochenge.
Interviewer:- are yaar. Acha koi gf!
Shyam:- nhin sir padhai men busy tha to in sab cheezon ke liye samay nhin mila.
Interviewer:- acha matlab meri tarah ho. Main bhi tumhari tarh tha bhai. Bilkul fisadii laal. Aur pta hai ladikiyan mujhe chedkar jaya kartee thin.
shyam ka sahaz hona
Is baat par dono hansne lagte hain. Ab shyam interviewer ke sath sahaz ho chuka tha.
Interviewer:- chalo theek hai. ab tmhara interview start karen.
Shyam:- Ok sir.
Fir interviewer uska interviewer leta hai. Jab interviewkhatm hua to interviewer ne poocha.
Interviewer:- han to Shyam ab kaisaa feel kar rahe ho?
Shyam;- bahut acha feel kar rha hun sir.
Interviewer:- Vo pehle ke swaal tumko normalkarne ke liye pooche the. bura to nhin laga?
Shyam:- nahin sir. balki thanks jo aapne mujhe normal kiya.
Interviewer:- ab ye bta do ki pareshan kyun the.
ab Shyam usko billi bali poori baat btata hai.
shyam ko interviewer dwara samjhaya jana
Interviewer:- are dost! aisaa kuch nahin hota. aur tumhare jaise padhe likhe aadmi se to mujhe yeh umeed bilkul nhin thee. In sab baaton se bahar niklo.
ab socho jara Billi ne tumhara raasta kaata ya tumne billi ka? koi tumhare liye aisaa soche to kya feel karoge? Vo ek jaanvar hai. tum insaan ho. apne karm par bharosa rakho bas.
yah parmatma sab men hai to usme bhi hai. to bhagwan tumhare aage se nikle to kya apshagun manoge?
Interviewer:- aur han us billi ka to tumhare liye ek tarah ka shagun hua jo tume nokari mil rahi hai.
ab Shyam kee aankhen jhuk gayin thin. use khud par sharmindagi mehsus ho rahi thi.
Shyam:- sorry sir. main aapko vachan deta hun ki aaj ke baad main in sab baton men dhyan nhin doonga. aur nokari ke liye thanks.
Interviewer:- iske liye thanks kee zarurat nhin hai. Tum is noakri ke liye upyukt ho isliye mili hai. mene to bas tumko sahaz bnaya hai. varna tum interview theek se nahin de pate. uske liye thanks bol sakte ho.
Shayam:- ok thanks sir.
Interviewer:- ok welcome. Ab ghar mithai lekar jana. aur meri baat hamesha dhyaan rakhna.
Shyam bahan se bahar aataa hai.
Ram:- han bhai shyam kaisa raha interview?
usko gale lagaka shyam khushi se jhoom uthtaa hai.
Shyam:- mubarak ho bhai. mujhe bhee tumhare sath sath noakri mil gayi.
Ram:- dekha! mene kaha tha na.
Shyam:- han bhai. tumne theek kaha. Aur vo inetrviewer bhee bahut achaa tha. usne pehle mujhe relex kiya fir interview liya. usne meri aankhen khol din.
ab bhai main kasam khata hun ki ab in sab baton men dhyan nahin doonga. chal ab ghar chalte hain aur mithai lekar jana hai. Interviewer ne kaha hai.
dono ghar kee tarf chal padte hain.
Apshagun ka Nishkarsh:-
To dosto Galat to koi bhe ho sakta hai ya bhramit bhi ho sakta hai. lekin Shyam kee tarah subah kaa bhoola shaam ko agar ghar laut aaye to baat hee alag hai. usko jaise hee ehsaas hua vaise hee usne khud ko sudhara. iske sath sath hame uske dost kee tarah aur us interviewer kee tarah bhi soch rakhne chahiye.
aapko yah kahani (Apshaguni) kaisi lagi? apne vichar hamare saath comment ke madhyam se zarur sanjha kare.
Apshagun ke baare men apne sujhav ya shikayat ke liye is link par click akren:- Contact Us
Namaskaar
यह भी पढ़ें :-
Nice topic to write a story
Interesting