Money matters part-2 men aap Money matters part-1 kee shesh kahanee padhoge. Pichhle bhaag me aapne dekha ki Ajay jyada paise kamaa Kar apne parivaar ko aisho- aaraam Dena chahata tha. Par salary kam hone ki vajah SE preshaan tha. Aaiye dekhate hai Ajay ke dost kaise uski madad karte hai.
Vijay or Ranjan Ajay ke hav-bhav dekh Kar jor jor SE hasne lage. Unhe hasta dekh, Nikhil bhi hasne laga.
Ajay:: Tum logo ko mazaak lag Raha hai.
Nikhil:: Jyada paise Kamaane hai to lottery khareed. Betting Kar. Logo ko bevakoof bana.
Ajay:: Nahi nahi. Mehnat kiye Bina kamaya gaya Paisa kabhi falta nahi. Ye sab tarike sahi nahi.
Vijay:: Shabaash. Mehnat SE paise Kamaane ke liye tu ek do nokari or Kar le.
Ranjan:: Haan, sahi kaha. Subha newspaper delivery Kar. Shaam ko snacks stall laga. 9 SE 5 duty to tu karta hi hai.
Vijay:: ye sab Karne me sharam aati hai to shaam ko do- teen sessions me bachoon ko turions de.
Ajay:: Isse to me pura din busy rahunga. Family ko time kab doonga? Araam kab karoonga?
Shero Shayari Padhne Ke liye Uahan Click Karen
Nikhil:: Tujhe aaraam bhi karna hai?
Ajay:: Me mehnat Karne SE nahi ghabra Raha. Per 24×7 machine bhi nahi banana chahta.
Vijay::To fir nokri badal.
Ajay:: Me sirf 12th paas Hoon.
Ranjan:: To mere Bhai graduation Kar. Sath sath civil services ki taiyaari Kar. Me bhi Kar Raha Hoon. Sarkari nokri milegi sab theek ho jaayega.
Ajay:: Ab to Padna bhi bas ka nahi.
Vijay:: Kuchh business Kar le. Bank SE loan le or kaam shuru Kar.
Ajay:: Me karja nahi Lena chahta.
Ranjan:: Koi talent hai, jaise singing, dancing,acting etc. Agar hai to Bhai audio/vedio bana or website per post Kar. Time ke saath sath likes or views badenge to salary bhi aayegi.
Vijay:: Haan aajkal log online tutions bhi dete hai. Yoga or vayayam bhi sikhaye jaate hai. Tujhhe computer use karna to aata hai.
To apne choice ka kuchh bhi sikhana shuru Kar de.
Ajay:: Inme SE to mujhe kuchh bhi nahi aata.
Nikhil:: Me batata Hoon tujhe Tere talent ke baare me. Tu poetry achhi Kar leta hai. Or school time me tu stories bhi likta tha.
Ajay:: Haan likhta to tha. Per vo to yunhhi…
Ranjan:: Arrree.. guru. Apni tareef sunkar hi manega Kya? Hahaha…
Vijay:: Bhai mere talent jab koot-koot Kar Bhara hai to dikhata kyoun nahi.
Tu alag alag websites per stories and poetry kyuon nahi post karta.
Ajay:: per konsi website. Kya ye chargeble hoti hai.
Vijay:: Are nahi Bhai. Koi charge nahi Dena hota.
Ranjan:: Haan yaad aaya. Ek nai site launch hui hai. mankepar.com. Is per aap apni rachnaye post Kar sakte ho.
Nikhil:: chal to phir ab tu kaam per lag jaa or jab Teri gadi patri per aa jaaye to mithaai khila Dena.
यह भी पढ़ें :-
- Stories In Hindi
- Money matters
- Best Moral Stories
- Man Ke Par-Thinking Beyond Thoughts – मन के पर
- Wah Re Pyar Krne wale
Nice
Nice story but you can earn money from ows blog or from those sites who paid for content and this site has no such policy.
Thanks for the comments. Definitely! This site does not says to pay any of it’s writers. But there were discussed many other ways to earn money. Now this is the responsibility of oneself to check the policy. But an IDEA definitely opens the way.
Nice story
Nice
Nyc story
bahut khoob. yeh story ka next part bhi hona chahiye.
jabardast story hai. par end kuch aur tareeke se hona chahiye tha.
in this website i found nice stuff and well written. i have bookmarked it for next visit.
I am waiting for next part of story @ Renu Bala