Money matters
Money matters Kimatnagar ke char Doston kee kahanee hai. Is kahanee men sheershak ke anusaar kya ghatit hota hai aao Padhen.
Kimatnagar mein char dost ek chhoti company me kaam karte the. Ajay, Vijay, Nikhil or Ranjan. Charo ki aapas me kafi banti thi. Charo ki padhai bhi lagbhag barabar hi thi. Ek din Ajay thoda preshaan baitha tha. Tabhi Nikhil vanha aaya or Ajay ki preshaani ka Karan puchhne laga.
Ajay:: yarr Kya bataoon. Me jitna Kamata Hoon usse Ghar ka kharch nahi nikalta. Mere parivaar me sirf teen hi log hai, Meri patni, beta or me. Me apni patni ko achhe kapde or achhe gahne Dena chahta Hoon. Bete ko achhe khilone, achhe school bhejna chahta Hoon. Unhe ek achha Ghar Dena chahta Hoon. Par…..
Itna kehte kehte Ajay or dukhi ho gaya.
Dosti Par Kavita Padhne Ke liye click Karen
Nikhil:: To preshaan kyoon hai? Teen public me nahi sambhal paa Raha hai. Meri family me chaar log hai or kamane vaala bhi me ek akela hi Hoon. Sab manage ho jaata hai. pata hai kaise? Hum log jyaada ki ichha hi nahi karte. Mere beta kisi saman ki zid karta hai to me use dat Kar chup karwa deta Hoon or vo maan bhi jata hai. Or kapdoon, khilono, school par Kya kharcha karna. Me khud Ghar jaa Kar use padata Hoon. School achha ya mehanga hone SE kuchh nahi hota.
Itne me Vijay or Ranjan bhi vanha aa jaate.
Vijay:: Bhai Nikhil, agar man me kuchh achha pane ki ichha hi na ho to baat kuchh hai hi nahi. Par Teri baaton SE samjhote ki boo aa rahi hai.
Ranjan:: Vijay ki baat SE me sahmat Hoon. Jaroorto ko pura karne SE baat banti hai na ki unhe dabaane SE.
Nikhil:: Yahi to samasaya hai. Jarooratein kabhi Puri nahi hoti. Ek ke pure hote hi dusari jaroorat samne aa jaati hai. Isliye inhe dabaana hi sahi hai.
Ajay:: Mujhe lagta hai jyada paise kamana iska Hal ho sakta hai. Jyaada paise kamana apneaap me ek badi samasya hai. Har samasya ka Hal hota hai. Bhai logo jyaada paise kamane ka koi Hal hai?
Is par Vijay or Ranjan jor jor SE hasne lagate or upaaye sochne lagate hai.
Kya Nikhil or Ranjan Ajay ki help Kar paayenge. Use kuchh tarika Bata paayenge. Dekhate hai agle bhaag mein.
Nice story. Keep it up.👍
achi kahanee hai. agle bhag ka intzaar h.
Graet. It would be more attractive if written in hindi.
Nice
Nice story. Waiting for next part.
Achi story hai.
Nice story i like it
Owsm
Well written
Interesting story
Thanks a lot
nice story
i like it thanks a lot for such story.